Saturday, April 9, 2011

Dil e Jazbat

kehna to chaha hai dil ne bahut  kuch
par  na keh saki


dil mein thi hazaar baatein chipi
par na baya kar saki


tujhe dekhkar
tera  didiar pa kar
na jane ye sanse kyo ham jati hai


dhadkane jo hua karti hai is dil mein
tujhe same paa kar
na jane kyo behak jati hai


hal e dil  hai kya
kai baar chaha tujhe batana
kis traha tadapta hai dil
chaha tujhe bhi tadpana


par suni si aakho mein bas
talash reh jati hai
tujhe pane ki arzoo
dil mein hi dabi reh jati hai


shayad kabhi kar na saku
baya apni mahobat ki dasta
ye alfaz jo bikhre hai
aaj kagaj pe


kar denge baya
har labz har
har ehsas meri mahobat ka

1 comment: